Best 5 Security Apps jane future

Password yad rakhne se lekar IP Adress chipane tak me kaam Aate hai ye 5 Apps!  Jane future..


z3gbi.wordpress.com

In Sabhi apps ko 10 lakh se lekar 50 karod  tak users kar chuke hai istemal!..

Hum Apko un Apps ke bare me batane ja rehe hai, jinse dunia bhar ke users psand karte hai. In Apps ki help se Aap kai kaam ek sath kar sakte hai. To chaliye jante hai iske feature ke bare me.

Uc browser- App ko 500 milion download kiya ja chuka hai. App ko 4.5 star mila hai.
Jise 1 milion se jyada users ne rating di hai.
Iska size 37 mb hai.

z3gbi.wordpress.com

Feature- Is saal ke Quarter finale me sabse jyada download hone wala Apps me Uc browser dusre number par Aata hai.Browser kaphi user fraindly hai. Browser high speed download ko support karta hai. Data saving se lekar Ad block tak ke sare feature milte hai

Telegram- App ko play store par jakar download kar sakte hai. App ko 100 million people ne download kiya hai. App ko 4.4 stars mil chuka hai. App ko play store par 29 lack users ne rating di hai. App ki size 12mb hai.

z3gbi.wordpress.com

Feature- Is App ko security feature ke liye jana jata hai. Mobile aur pc dono plateform ko support karta hai. Agar privecy Aapki pahali psand hai to ye App Aapke liye best bikalp hai. Report ke mutabik ye app Aapki jankari sarkar se bhi sajha nahi karti. 

Adobe Photoshop Lightroom cc - App ko google play store par 10 million users ne download kiya hai. App ko play store par 4.3 star mila hai. App ko 1 lac se jyada users ne rating di hai. App ki size 57mb ka hai. Isliye achhha hoga ki isko wifi se hi downloading kiya jaye.

  • PADHE..



z3gbi.wordpress.com


Feature- Apps me kai sandar feature diye gye hai. Photo ki light ko Aap App ki help se Apne man mutabik set kar sakte hai. Iske Alava fog clear karne se lekar real colour tak ke feature App me samil hai.

Nord VPN- App ko google play store me 1 million users ne download kiya hai. App ko play store me 4.4 star mila hai, jise 30 thousand se bhi jyada users ne rating di hai App ki size 23mb hai.

z3gbi.WordPress.com

Feature- App ki help se Aap Anonmus hokar Internet access kar sakte hai. Iske baad Aapke Ip Address ko koi bhi track nhi kar payega. Surachhit net sarve ke liye App ek achhha bikalp hai. But ye dhyan rakhne wali baat hai ki ye App ke feature paid hai.

LastPass password manager- App ko 1 million users ne download kiya hai. App ko play store par 4.6 star mila hai, jise play store par 1 lac se bhi jyada users ne rating di hai. App ki size 9.3 mb hai.

z3gbi.wordpress.com

Feature- Agar Aapke liye password ko yaad rakhana ya phir manage karna ek muskil kaam hai, To ye App Aapke liye ek behtrin bikalp sabit ho sakta hai. App ki help se Aap Apni jankariyo ko secure rakh sakte hai.

एक टिप्पणी भेजें

0 टिप्पणियाँ