Karm sabse Mahan hai.Karm karoge to fal jarur milega jo jaisa Karm karega waisa fal ushe jarur milta hai.
Mere Antaratma se nikla uttar jishe mai example ke taur par bataunga dyan dijiye.
Example:-{Agar hum kisi v mithe fal ka paudha lagate hai to usko pahle sichte hai hai fir apni mehnat ke bal par uska bada hone tak intajar karte hai hai aur fir jab bada ho jata hai tab us par fal lagta hai.Ushke baad pakta hai .
phir hame us mithe fal ka Aannad milta hai to ek fal ko khane ke liye itna lamba intajar karna padta hai
To Aap jaiye ishi tarah hame apne Karm ka paudha v lagakar sichayi se fal pakane tak intajar karna padta hai.Aur ek baat agar hum mirchi ka paudha lagate hai to hame mirchi hi khane ko milegi .
Ish tarah se hum yeh kah sakte hai ki jo jaisa Karm karta hai.Fal v usko waisa milta hai}
kitne log aise hote hai jo jyada der tak intajar nahi kar pate hai aur sochte hai ki itna mehanat kiya aur mujhe kuch nahi mila. Ishko karne se koi fayda nhi ho rha aur ant me chhod dete hai. To jo log Example ke taur par samajh jaye to bahut hi achha hoga. Intajar kijiye kyoki kisi v chij ko pane ke liye mehanat to karna padta hai chahe wo lamba ho chota ho. Agar uska samy pura ho jaye to wo khud hasil ho jayega. Aur kabhi v kisi v rah par chal rahe hai to apna Aatmbiswas kabhi na khoiyega . Agar aapka Aatmbiswas dagmagya to aap khai me gir sakte hai. Aur sanyam rakhiye. Ish prenra se hamare andar ki buraiya khatm ho jayega.
Agar aapko ishse kuch sikhane ko mila ho to jarur hame comment kare.
Ye jankar hame bhut khusi hogi. Thanks.....
0 टिप्पणियाँ