Google A.I.& learning machine, comming soon

Artificial Intelligence par learning karayega Google, jane puri baat..



Ye jaan kar hairani hogi ki ab machine hame path padhayegi, jald hi google artificial intelligence ke chhetra me kaam kar rhe indians starting ke liye training program suru karega. Desh me artificial intelligence aur machine learning ka Eko system teji se devolep karne ke liye niti ayog aur google sath milkar kaam karenge.


Niti ayog aur google ke bich artificial intelligence aur machine learning ko lekar ek samjhauta hua hai. Is samjhaute ke tahat niti ayog ne future technology jaise artificial intelligence me research aur devolopment ko lekar pure desh me ek Rastriy radniti ka prarup taiyar kiya hai.

Monday ko Niti ayog ke CEO AMITABH KANT ke maujudgi me ayog ke salahkar ANNA RAI aur google ke india aur shouth east asia ke upadhyachh RAJAN ANAND KE bich is bare me samjhaute par signature hua.


Is samjhaute ki ahmiyat ko batate hue CEO AMITABH KANT ne bataya ki artificial intelligence se desh me bussiness ka mahaul badal rha hai. Is technology se social sector me kuch nya karne me help milegi. Unhone bataya ki Artificial intelligence aur machine learning jaisi future technology's se helth care sector, education, aur governess me nya system biksit hoga, jisse nagiriko ko fayda hoga aur desh ke arthik bikas me yogdaan badhega.

  • Google karega help
Niti ayog aur google ke bich hue sajhedari ke tahat byapar star par training ayojit ki jayegi. Sath hi startup's ko help aur Artificial intelligence me research aur scholership ko badhava diya jayega.

Is program ke tahat google desh ke Artificial intelligence ke chhetr me kaam kar rhe startup's ko training dene ke sath protsahan karykram ko chalayega. Google in program startup's ko pramarsh dene ke sath prasichit bhi karega.

  • IA aur ML me online taianing
Iske alawa Artificial intelligence me research eko system ko badhawa dene ke liye Indian researches , scholers ,aur univercity ko bittiy help bhi di jayegi. Sath hi google desh ke kai city's me Artificial intelligence me students, graduats, ingineer's ke liye training program bhi layega.

  • Haikathon ka Ayojan
Sath hi, google aur niti ayog sath milkar Artificial intelligence aur machine learning par Haikathon ka ayojan karenge.  Yeh Haikathon Agricluture, Healthcare, finance, tranceportation, aur mobile sector par ayojit kiye jayenge, jo in chhetro ke pramukh chunautiyo ko hal karne me help karegi.

Iske alawa Haikathon me in chunautiyo se nipatane ke liye International bhagidari  ko sunischit karne ke liye global platform kaigal ki bhi help lega. Samjhaute ke tahat niti ayog  ki help se google sarkar me samil takniki vishesagyo aur niti nirmatao le liye bhi training program ayojhit karega.

एक टिप्पणी भेजें

1 टिप्पणियाँ

  1. Attend The Machine Learning Course Bangalore From ExcelR. Practical Machine Learning course Bangalore Sessions With Assured Placement Support From Experienced Faculty. ExcelR Offers The Machine Learning course Bangalore.
    Machine Learning Course Bangalore

    जवाब देंहटाएं